Thursday, August 20, 2009

वास्तविकता का विरोधाभास

वास्तविकता में आज कोई भी जीना नहीं चाहता है सब मृग मारीचिका में जी रहे हैं इनाम के लालच में पता नहीं क्या क्या कर रहे हैं पर्दे के पीछे झांकने का साहस किसी के पास नहीं है और मंच पर सजा दृश्य देख कर हर्षित हो रहे हैं लेकिन वास्तविकता पर्दे के पीछे है उसे देखने के लिए इक्षाशक्ति की ज़रुरत है क्योंकि वास्तविकता बड़ी कठोर बड़ी निर्लज्ज बड़ी पीडा देने वाली है उसमें कोई नहीं जीना चाहता है शायद इसी लिए यह संसार आडम्बर बनता जा रहा है जैसे हर क़दम पर धोखा , चारो तरफ माया जाल , तरह तरह के इंद्रजाल में उलझा आज का हमारा समाज , हमे सोचना होगा हम वास्तविकता को क्यों नहीं स्वीकार कर लेते हैं ऐसा जिस दिन हम कर लेंगे हमे आगे बदने से कोई नहीं रोक सकेगा , न संकोच न भय और सुख के साक्षात् दर्शन होने शुरू हो जायेंगे
शायद आपको यह भी मालूम हो की जसवंत सिंह ने उसी सच्चाई में जीते ही कोई किताब लिखी थी और उसके बाद जो हुआ वोह हश्र भी आप ने देखा ही होगा यही हमारे देश का दुर्भाग्य है
द्वारा := एस . ऍम . अजहर दिनक :- २०-८-०९ समय १२:४५

Wednesday, July 22, 2009

युस एंड थ्रो .प्रयोग करो और फेंक दो

hamesha ya un kahiyey ki jab sey samajik vyvastha lagoo hui hai aneko anek aisi mansiktaien bhi viksit hui hain jisey sabhyta aur sanskriti sey jod kar dekha jaata raha hai aur har yug men gouranvit honey ka sukh bhi utna hi anand deta chala aa raha hai jaisa ki aajkal ki ochi rajniti men mahimamandit ho rahey tuksh type key netaon dwara kiye jaa rahey hawan poojan ko dekh kar sahaj hi andaza lagaya ja sakta hai ochey karmon ko karney walon ko manchaseen kiya jaa raha hai kyonki vaygyanik varg ney apney ko ek chotey sey kamrey men band karkey apni ikshaon ki poorti ka sankalp ley liya hai samaj sey unka koi lena dena nahi hai.sab kuch bilkul corporate jagat ki tarah chalney par vivash hai sadharan insaan bhi is vayvastha sey otprot nazar aaney laga hai un anpad mazdooron ki ungliyon kya kabhi aapney multi media mobile fone key key pad par nratya kartey dekha hai nahi dekha to aap bhi bakhoobi dekh aur samajh saktey hain ki mansik vikas ki sambhawna kitni bad gayi hi nahi bahut aagey bhi nikal chuki hai kapaliya chamata ka poora maza leney key yug ka sutra paat ho chuka hai hamarey sampporna bhartiya samaj men aisey kai prasang aapko dekhney aur sunney ko mil jayengey jisey shudh bhasha men hum kehtey hain ki bhai sab dimaag ka kaam hai dimag bhi ab char hanth aagey ki sochney laga hai dilo dimag par havi muddon ki baat ki jay to aisi aisi prinati aisey asiey vichar aisey aisey ghatna kram aisi badhawas soch key darshan hongey ki bazaroo sanskriti ka nanga roop prakat hi nahi hoga balki aapko yeh sochney par majboor kar dega ki abhi tak aap kahan they.ab logon sey hanth milana shistachar nahi hai ab logon sey hanth milana waisa hi hai jaisa ek computer sey doosrey computer men data transfer karney key liye networking karna, jaisey hi aap kisi sey haanth milatey hain turant uskey man ka computer aap ko read kar leta hai aur apney matlab ka data copy kar hant ko alag kar deta hai fir kuch der man men processing chalti hai ki aap us vyakti key liye kitney mahatvapoorna sidh ho saktey ho,fir shuru ho jaata hai un vaicharik bhawnaon ka adan pradan jiskey chaltey bahut sey kaam sidh ho saktey hain kaam ho gaya to theek nahi to bye bye matlab data deleted,aisa dinbhar men na jaaney kitni baar hota hoga kyonki ab cut copy paste key saath delete ka bhi zamana hai isi liye shayad main cut copy paste key format par vishwas nahi karta hun wahi likhta hun jo mehsoos karta hun jo dimag sey computer key bord par ungliyon key madhyam sey type hota hai
swarth ab naye naye roop dharan karta jaa raha hai swarthi pan zindagi ka ahem hissa banta jaa raha hai jo swarthi nahi uska koi aadhar nahi uskey liye kahin koi jagah nahi niswath bhaw sey kiya gaya koi bhi kaam man men durbhawna laata hai niswarth bhaw key chaltey kiya gaya kaam baar baar man ko bhramit karta hai swarth ki bhawna niswarth ko jeenay nahi deti kehti hai ki band karo yeh prapanch mat karo niswarth bhaw sey koi kaam warna ungli uthna swabhawik hai log kahengey ki aisi kya zaroorat thi ki aisa kya tha kyon jagi samarpan ki bhawna kuch to zaroor hoga warna aaj kal kiskey paas itna waqt hai yeh sab sochney ka swarth par aarop lagey ya na lagey niswarth par aarop lagna hi lagna hai isi liye niswarthbhaw sey sewa ka sankalp ley chukey log maun hain udas hain sochney par majboor hain ki woh kin logon ki sewa men leen they un logon ki jo swarthi they aur tab pata chalta hai ki swarth aur niswarth ek hi sikkey key do pahloo hain dono ek doosrey key poorak hain swarth ni swarth par havi hai swarth hai tabhi to niswarth hai niswarth hai tabhi to swarth hai jo paida honey key saath shuru hota hai aur marney tak saath nahi chodta hai aas lagi hi rehti hai swarth ki niswart par aur niswarth ki swarth par koi kuch dena chahta hai koi kuch lena chahta hai anandit honey ka is sey acha koi aur marg ho hi nahi sakta kahin paaney ki khushi to kahin kuch dey paaney ki khushi bhaly hi wah chadik ho ya anant bhakt aur bhagwan , bhagwan aur bhakt ka bilkul naya roop keh saktey hain isey